Posted by : RioZee Thursday, April 4, 2013

Ye mera braid, ye tera braid, sare jahan se nyara , ye 
mera braid. 


Kuch yun shuru hui kahani humari,
Duniya mar miti, dekh is braid ki kalakari.

Main jo itar itar mari jaati thi,
Ye bus mere braids ki dildari thi.

Log kahte hain, if you have it,
Flaunt it.
Lekin main bhi kam kamini na thi,
Ithla ke jab main braids ko jhatak ke,
Aage kar left hand se, jhoolate hue nikalti thi, 
khuda jhoot na bulwaye doston,
Thandi aahen bharte hue Kitne hi gir padte the raston pe.

Ab lekin umra hui jaati hai, kya karoo,
Aur kyaa na karoo,
Ye split ends bhi ek bala hain, saare nuskhe daadi ma ke aajmaaye, lekin tali naa ye dushman balaye.

Aaj meri khushi ki hai naa koi inteha, 
Door ho gayi ye mui sirfiri bala,
Bhala ho is nek door drishti wali Dove company ka.,
Jisne banayi aur bhej di  ye durlabh dawa.

Aaj main phir se nikali thumakati  balkhati  ithalate hue,
Khuda jhoot na bulwaye,
Kitte hi jal jal mare dekh meri braids ki adbhut nasheeli machalti hillore marti athkhelian, meri bala se.



{ 3 comments... read them below or Comment }

Feel free to pen your thoughts

- Copyright © RioZee - Skyblue - Powered by Blogger - Designed by Johanes Djogan -